Dhiktana Dhiktana Lyrics – Mad Trip

Dhiktana Dhiktana Lyrics - Mad Trip

Song Information

Dhiktana Dhiktana Lyrics – Mad Trip

Kaisa hain tu? Kaise hain sab?
Pooche khairiyat par dekhe haisiyat sab
Pata chala sirf paiso se rishte hain
To ab mere sirf paiso se rishte hain

Haan maine jeet dekhi, haan maine haar dekhi
Tedha banke chalna padta, warna neki maar degi
Sadkon pe maar dekhi, apno me khaar dekhi
Qatal-E-Aam ki khabrein, aksar qabrein to aam dekhi

Dekhi saap seedhi, baatein likhu saaf sidhi
Kisi ko bhi sunni ni hain yahan pe meri aapbeeti
Rishton mein raajniti
Kisse bas jaaydad ke hisse na khaak mili
Kishton mein haar mili…

Dekhi kitni shaqal, gayi pal mein badal
Mere seene me kyu hoti har pal hal-chal
Har pal chanchal mann kare bhagdad
Ab dil mera khaali, ghar lage khandar

Ghooma ni main duniya jahaano mein kabhi
Kyunki pehle se hi maine dekh liya sab shayad
Bura waqt bhi dikhake jayega ek jaadu
Tu khali 10 tak gin ho jayenge sab gayab

Dhiktana dhiktana dhiktana
Yahan apno me apna koi dikhta na
Dhiktana dhiktana dhiktana
Saala sacchi mein saccha koi rishta na

Dhiktana dhiktana dhiktana
Yahan apno me apna koi dikhta na
Dhiktana dhiktana dhiktana
Saala sacchi mein saccha koi rishta na

Dhiktana dhiktana dhiktana
Dhik dhiktana dhiktana dhiktana
Dhiktana dhiktana dhiktana
Dhik dhiktana dhiktana dhiktana…

Aansu to roz aaye
Par koi na ponch paaye
Bolu dil ki baatein
Par dil tak nahi ye pahunch paaye

Dhokhe to boht khaaye
Woh to roz ka hain
Saare apna soche
Tu apno ka sochta hain, kyu?

Doon main ghar walo ko dosh
Jo sochte mera roz
Afsos main un pe bojh
Main kosta khud ko boht

Jailo se bhi zyada logo ke mann mein hain chor
Wo dekhe kab dheela ho naada, kab khiche langot
Jaana kahan soojhta bhi nai
Ho bhookhe pet, nange-paanv to koi thookta bhi nai

Sawal ka jawab dene se bane Crorepati
Lekin hum jaiso ko yahan koi poochta hi nai
Bina taane khaye milti hain taaliyan bhi na
Milti kaamyabi to ye dekhe khaamiyan bhi na

Kaafi galtiyan bhi kari
Galti se seekha bhi main
Ye duniya ek kitaab
To baatein kitaabi ye

Chunautiyan hain log
Hain kya isme koi shaq
Roz bolu bhagwan se
Enough is enough

Kaash mile hote gham kam re
Hume bhi koi mile hote hum-dum re
Ghutt’te hain andar hi andar se
Ab chubhte hain mujhko ye bandh kamre

Main so pau kabhi chain se
Aise bhi din dikhlana
Kho jaunga bheed mein
Tu haath thaam lega na

Dhiktana dhiktana dhiktana
Yahan apno me apna koi dikhta na
Dhiktana dhiktana dhiktana
Saala sacchi mein saccha koi rishta na

Dhiktana dhiktana dhiktana
Yahan apno me apna koi dikhta na
Dhiktana dhiktana dhiktana
Saala sacchi mein saccha koi rishta na

Apno ko dekha apno se ladte
To apna hain kon aaya ek sawal
Ghairo ko dekha maine zakhmo ko bharte
To apna hain kon fir aaya ek sawal
Mad Trip! GJ05…

More Songs by Mad Trip

Song Music Video