Lashcurry hai kya!
Main jaaga jaaga jaaga poori raat bhar
Main bhaaga bhaaga bhaaga peeche rakshas
Main jaana chahta wahan jahan shanti
Gaana gaana gaana gaana lagta mujhe shaap ab
Main jaaga jaaga jaaga poori raat bhar
Main bhaaga bhaaga bhaaga peeche rakshas
Main jaana chahta wahan jahan shanti
Gaana gaana gaana gaana lagta mujhe shaap ab
Kahani paardarshi, sabhi ka istaqbaal
Kami kitaabo ki, par school gya basta daal
Kabhi ni aa paayi dawayi maa ki time par
Aaj maa ki ek khaasi pe ghar bana aspataal
Khoobiyan chhod wo kamiyan batake chale gayi
Samjha tha zindagi, zindagi samjha kar chale gayi
Bola tha 1 gaane pe 1 peti utha lunga
Wo kisi mahine wale ki tankhwa par chali gayi
Na talaasha mandiro me, masjido me khoya nai
Bandisho me hassta tha aur zanjeero me roya nai
Laanat hain us bete pe, jo chori karke mauj karta
Baap jiska raat ko chain se kabhi soya nai
Naye makaano me mandir purana yaad kar
Haath jod, aas kar, galtiyon ko maaf kar
Bada dil, bada ghar, lambi gehri saans bhar
Zubaan meethi unki, jinke khoon laga daant par
Bro… main kehna chahta boht kuch
Mata-pita boht khush, sannata dekha roz dukh
Aata ni tha likhna, ab likhta hu baatein boht khoob
Moh nahi maaya se gaano me seedhe maut du
Baat suni maine ghar ki 4
To darr kinaar nahi kari kalakaari
Padti maar jo jhadti maarke
Tapri paar the farzi 4
Todke deewarein dhar ke le gaye
Thane me band hua abki baar
Baap ne bola aulaad ni meri
Phir baap ne chhudaya agli baar
Chalte show me aata call
Papa bole kidhar ho?
Jaldi aaja ghar pe
Mujhe parwah ni tu jidhar ho
Ab main jaata show pe
To utaarte hai nazar
Main bhi chadhta stage pe
Check pe 5-figure ho
Ye saari cheezein ek raat me ni aayi
Main so gaya bhookha, roti khairaat me ni khaayi
Tu kalakaar accha haim par mann me tere khot
Varna achho-achho ke safalta hath me ni aayi
Cheekhu zor se, deewarein mujhe kha jayengi
Chalta ja raha sadak pata ni kahan jayegi
Aaye din bas jaaydad ke kagazat pe maar-peet
Main ghar ka sabse chhota, mere hisse me to maa aayegi
[Call Recording with Mom]
2.5 mahine baad aaya yaad Maa se baat karu
Par ek sawaal ek malaal, kahan se start karu
Kaise batau kal mai roya poori raat bhar hoon
Lachaar main naraaz baap se kya aas rakhu?
Wo kehti mujhe khana khaya tune?
Bola jhoot phir se, kha liya bahana aaya
Ghar se bahar jata hu to deti paise mujhe
Maa baap ko budha hota dekha tab kamana aaya
Bada banne ke chakkar me jeevan chhota ho gaya
Main vyapaari ka beta, ghate ka sauda ho gaya
Jo nai hona tha, sang mere hota wo gaya
Jeevan chhalawa, saath mere dhokha ho gaya
Dil me aandhi leke aaye tha, wo jhoka ho gaya
Meri haar pe jashan ka tera mauka ho gaya
Maa bolti thi buri sangat kaam na aayegi
Khaayi chot to usi pal se bharosa ho gaya
Ye to beete din ki baat, halaat ab kuch aur
Ab maa bhi mere saath, papa se sab kuch sort
Afford mai kar leta jo bhi chhote mote shaunk
Emotional insaan hai hum rote vote boht
Thaka haara boht, bas main nasha chahra roz
Dukh hazam ni kar paara aur na pacha paara krodh
Na bacha saka ye, na bacha paara wo
Tujhe pata meri story, fir kyu thassa khaara bro
Maze ke liye nahi chuna tha maine sangeet
To kaise reh loon ek din bhi kaam kare bina
Har din mujhe lagta ki bache hai mere kam din
Main khaak agar mara apna naam kare bina
Baatein meri rukh ho, teri aati thi na chuke
Mai bas kalakaar hu to mujhse jaati bhi na puche
Swaarth ke liye dooje ko khaayi me gira dein
Matlab saanp bhi marr jaye aur lathi bhi na toote
Main jaaga jaaga jaaga poori raat bhar
Main bhaaga bhaaga bhaaga peeche rakshas
Main jaana chahta wahan jahan shanti
Gaana gaana gaana gaana lagta mujhe shaap ab
More songs by Lashcurry