Sapne Lyrics – Lashcurry

Sapne Lyrics - Lashcurry

Song Information

Sapne Lyrics – Lashcurry

Maa dekhna TV pe kitna hard dikhra hu
Aur inko lagta mai chirag ghisra hu
Inko lagta ki mai flows pocket bars likhta hu
Par mai kitaab likhta hu, likhne me baap jitna hu

Andar bhookh itni hain poora pahaad nipta du
Mujhe bazaar ki samajh, main vyapaar seekhta hu
Aansu dene wala shayad se samundar leke baitha
Maa ko bura lagta hain jab mai lachaar dikhta hu

Gaadi chalani aati nahi, mujhe ghar chalana aata hain
Phir middle class ladka ek din zalzala le aata hain
Jeet ka ehsaas hi sard hawa de jaata hain
Rongte khade, gala bhari har jagah pe chha raha mai

Bura dekha, bura suna, bura kiya nai
Kaafir hua, maa ki duaa, tabhi ruka nai
Jitna liya, dugna diya, kiya gunah nai
Sabhi ka pyaar, sabke bina hua poora nai

Bura dekha, bura suna, bura kiya nai
Kaafir hua, maa ki duaa, tabhi ruka nai
Jitna liya, dugna diya, kiya gunah nai
Sabhi ka pyaar, sabke bina hua poora nai

Kaafi… Badal sa gaya tha mai
Raahi… bhatak sa gaya tha mai
Hanji… Ab sab kuch hi kadmo me hain
Ho… raahein sooni padi thi nigahein
Shikhar pe adi thi par baawe
Ab lagta hum sapno me hai

Dena hai saath, to fir saath dena falak tak ka
Meri har baat pe na muskura aur palak jhapka
Maa boli, ab tera ravaiyya thoda alag lagta
Khair maa to maa hain, usse acha koi nai samajh sakta

Ghar se door rehke sabke dil me ghar kiya
Adakaar theek nahi, par adaa maine farz kiya
Dil me basa ishwar nai, to mandir masjid church kya
Duniya ki nazro me rone wala vyakti mard kya

Wo namak leke aaye saare barf ki jagah
Humne boht samjhaya aur un pe tark nai bacha
Tune jhoothi kasmein khaa li apne maa baap ki
Fir mere bhai tere galat me kuch galat nai bacha

Mujhe movie dekhna pasand nahi
Main khud ki banara hu
Bole shohrat paisa daldal hain
To mai dubki laga raha hu

Kabhi Delhi, kabhi Kota
Kabhi Roorkee macha raha hu
Music mujhe banata
Na ki main music banara hu

Padhne ki umar me raha chudiyan tha bech
Sab kuch kho diya, bacha hain keval sui-dhaaga shesh
Manzil ke beech ki li hain dooriyan samet
Ab mai itna hu zaroori jaise Surya ka catch

Bura dekha, bura suna, bura kiya nai
Kaafir hua, maa ki duaa, tabhi ruka nai
Jitna liya, dugna diya, kiya gunah nai
Sabhi ka pyaar, sabke bina hua poora nai

Bura dekha, bura suna, bura kiya nai
Kaafir hua, maa ki duaa, tabhi ruka nai
Jitna liya, dugna diya, kiya gunah nai
Sabhi ka pyaar, sabke bina hua poora nai

Kaafi… Badal sa gaya tha mai
Raahi… bhatak sa gaya tha mai
Hanji… Ab sab kuch hi kadmo me hain
Ho… raahein sooni padi thi nigahein
Shikhar pe adi thi par baawe
Ab lagta hum sapno me hai

More songs by Lashcurry

Song Music Video